Lyrics
Dashte Tanhai
Dasht-e-tanhaee main ai jaan-e-jahaan larzaaN haiN
Teri aavaaz kay saaey, teray honton kay saraab
Dasht-e-tanhaee main dooree kay khas-o-khaak talay
Khil rahay hain teray pehlou kay saman or gulaab
Uth rahee hai kaheen qurbat say teri saaNs kee aanch
Apnee khushboo main sulagti hooee madham madham
Door ufaq paar chamaktee hooee qatra qatra
Gir rahee hai teri dildaar nazar kee shabnam
Is qadar payaar say ai jaan-e-jahaan rakha hai
Dil kay rukhsaar pay is waqt teri yaad ne haath
YooN gumaan hota hai gerchay hai abhee subh-e-firaaq
Dhal gaya hijr ka din aa bhi gaii wasl ki raat.
Advertisement